Tu bahut badal gaya reπŸ˜”

Real life
Milata nahi kyon akhiyon se akhiyan
Kyon karta nahi tu pyar bhari batiyan
Shavare jabse tu Pardeshi bhaya re
Na Jane kyon Tu bahut badal gaya re
Kya main pahle jaisi na hun ya
Tu hi kahi or kisi ka ho gaya re
Kyon tu tadfaye aankh michauli khele
Kaahe na tu mujhse sach sach bole
Yon Mithi Muraliya ki taan suna ke
Kyon tu mere man ko hardam tatole
Babari ho gayi hu main tere intezar mein
Fir bhi tu meri sakhiyon sang dole
Kare thitholi mohe dikha dikha ke
Kahe ab tu meri matkiyan ko fode
Tu pahle jaisa ab hai naahi raha re
Na jane kyon tu bahut badal gaya re
Kitana bhi tu mujhse dur jayiho
Hardam harpal mujhko payiho
Kyon ki radhe se krishn juda hai nahi
Bhakti bhav se jape sab radhe krishn murari
Tu dikhave ko kisi ka bhi hole par
Naam judega mera tere sang tujhse pahle

Leave a comment